SMS Poetry on BeWafa

love_gundu22

Praveen Gurwani
SMS Poetry on BeWafa
Kisi ke pyar mein gehri chot khayi hai,
Wafa se pehle hi bewafai payi hai.
Log mangte hai duwa is haal mein marne ki,
Par humne uski yaado mein jeene ki kasam khayi hai...


Log mohabbat ko khuda kehte hai,
Agar koi kare to use ilzaam dete hai.
Kehte hai ke pathar dil roya nahi karte,
Fir kyu pahado se jharne gira karte hai...


Karoge fariyad guzre zamane ko,
Tarsoge hamare saath ek palbitane ko,
Phir aawaz doge hame aane ko,
Hum kahenge darwaaza nahi hai kabar se bahar aane ko...


Mohabbat mein maine kya kuch nahi luta diya,
Unko pasand thi roshni Aur hamne khud ko jala diya...


Badduaen le raha hoo is bedard jamane ki.
Yahi sazaa mili hai unhe apne dil me basane ki.
Isliye e yaar mere karna na kabhi tu khata.
Kisi haseen chehre se ek pal bhi nazar milane ki...


Tadap utha bhi to zalim teri duhaari na du,
Main Zakham Zakham hu phir bhi tujhe dikhaai na du,
Tere badan me dhadakne laga hu dil ki tarah,
Ye aur baat hain ki ab tujhe sunaai na du.....


Jeena chahte hai magar zindagi raas nahi aati,
Marna chahte hai magar maut pass nahi aati.
Hum zindagi se bahut udaas hai,
Uspe teri yaadein tadpaana se baaz nahi aati...


Is jaha mein mohabbat kash na hoti,
To safar-e-zindagi mein mithas na hoti,
Agar milti bewafao ko saza main maut to,
Deewano ki kabrain udaas na hoti...


Meri mohabbat ne unhe khushi dedi,
Badle mein mujhe khamoshi dedi,
Khuda se dua mangi thi marne ki,
Lekin usne bhi kambakht jeene ke liye zindagi de di...


Khamosh palko se behkar jab aasu aate hai,
Aap kya jane kitne aap yaad aate hai.
Aaj bhi usi mod pe khade hai,
Jaha aapne kaha tha tehro hum abhi aate hai...


Naseeb se apne sabko shikayat kyun hoti hai,
jo mil nahi sakta ushi ki talaash kyun hoti hai.
Yu to hazaron khade hai rah mein,
Phir bhi unhi ki talaash kyun hoti hai...


Khaaye Hain Lakho Dhokhe,
Ek Dhokha Aur Seh Lenge.
Tu Leja Apni Doli Ko,
Hum Apni Arthi Ko Barat Keh Lenge...


Fareb tha unki hasi me,aashiqui samaj baithe.
Maut ko hum apni zindagi samaj baithe.
Yeh waqt ka majak tha ya hamari badnasibi,
Unki do baaton ko mohabbat samaj baithe...


Dil mera teri zulf ki janjeer ke kabil na tha.
Ye to masoom tha taasir ke kabil na tha.
Tujhse ek TASVEER maangi thi, tujhe na manga tha,
Kya aashie-a-dilber ek tasveer ke kabil na tha..


Manzil na rahi koi, Theekana bhi nahi hain,
Waapis muje ghar laut ke jaana bhi nahi hain.
Maine hi sikhaya tha usse TEER chalana,
Ab mere siva koi NISHANA bhi nahi hain...



:SugarwareZ-064:
 
Back
Top