shayaris

tuks87

Tarun Shah
kiya tum bhool pao gay?



wo din aur wo ratien

jo hum batien kertay huway guzaar daitay thay

kiya tum bhool pao gay?





jab hum ik doosray ko sochtay rehtay thay

din main khiyal ban ker sath rehtay thay

raat ko khuwab ban ke sath nibhatay thay

kiya tum bhool pao gay?





wo din aur wo ratien

main tum ko ghusa kerta

tum mujh ko manaya kertay

tum mujh per hukam chalatay

main chup chaap manta rehta

kia tum bhool pao gay?





wo din aur wo ratien

wo baat baat per rooth jana

aur ik muskrahat per maan jana

din lartay huway guzaar daina

raat ko payar bhara qarar daina

kiya tum bhool pao gay?





wo din aur wo ratien

ik doojay ki yaadoon main khoye rehna.

her pal ik doojay ki sapnay dekhna

zara si doori per tarap jana

kiya tum bhool pao gay?





wo din aur wo ratein...
 
Back
Top